Saturday, March 10, 2012

Durga Chalisa


DURGA CHALISA 

VIDEO CLICK HERE

Namo Namo Durge Sukh karani,
Namo Namo ambe Dukh harani. ||1

Nirakar hai jyoti tumhari,
Tihun lok pheli ujayari. ||2

Shashi lalat mukh mahavishala,
Netra lal bhrikutee vikarala. ||3

Roop Matu ko adhika suhave,
Daras karat jan ati sukh pave. ||4

Tum sansar shakti laya kina,
Palan hetu anna dhan dina. ||5

Annapurna hui jag pala,
Tumhi adi sundari Bala. ||6

Pralaya kala sab nashan hari,
Tum gauri Shiv-Shankar pyari. ||7

Shiv yogi tumhre guna gaven,
Brahma Vishnu tumhen nit dhyaven. ||8

Roop Saraswati ko tum dhara,
De subuddhi rishi munina ubara. ||9

Dharyo roop Narsimha ko amba,
Pragat bhayin phar kar khamba. ||10

Raksha kari Prahlaad bachayo,
Hiranakush ko swarga pathayo. ||11

Lakshmi roop dharo jag mahin,
Shree Narayan anga samihahin.  ||12

Ksheer sindhu men karat vilasa,
Daya Sindhu, deeje man asa.  ||13

Hingalaja men tumhin Bhavani,
Mahima amit na jet bakhani.  ||14

Matangi Dhoomavati Mata,
Bhuvneshwari bagala sukhdata.  ||15

Shree Bhairav lara jog tarani,
Chhinna Bhala bhav dukh nivarani.  ||16

Kehari Vahan soh Bhavani,
Langur Veer Chalat agavani.  ||17

Kar men khappar khadag viraje,
Jako dekh kal dan bhaje.  ||18

Sohe astra aur trishoola,
Jase uthata shatru hiya shoola.  ||19

Nagarkot men tumhi virajat,
Tihun lok men danka bajat.  ||20

Shumbhu Nishumbhu Danuja tum mare,
Rakta-beeja shankhan samhare.  ||21

Mahishasur nripa ati abhimani,
Jehi agha bhar mahi akulani.  ||22

Roop karal Kalika dhara,
Sen Sahita tum tin samhara.  ||23

Pan garha Santon par jab jab,
Bhayi sahaya Matu tum tab tab.  ||24

Amarpuni aru basava loka,
Tava Mahirna sab rahen asoka.  ||25

Jwala men hai jyoti tumhari,
Tumhen sada poojen nar nari. ||26

Prem bhakti se Jo yash gave,
Dukh-daridra nikat nahin ave. ||27

Dhyave tumhen jo nar man laee,
Janam-maran tako chuti jaee. ||28

Jogi sur-muni kahat pukari,
Jog na ho bin shakti tumhari. ||29

Shankar Aacharaj tap keenhon,
Kam, krodha jeet sab leenhon. ||30

Nisidin dhyan dharo Shankar ko,
Kahu kal nahini sumiro tum ko. ||31

Shakti roop ko maran na payo,
Shakti gayi tab man pachitayo. ||32

Sharnagat hui keerti bakhani,
Jai jai jai Jagdamb Bhavani. ||33

Bhayi prasanna Aadi Jagdamba,
Dayi shakti nahin keen vilamba. ||34

Mokon Matu kashta ati ghero,
Tum bin kaun hare dukh mero. ||35

Aasha trishna nipat sataven,
Moh madadik sab binsaven. ||36

Shatru nash keeje Maharani,
Sumiron ekachita tumhen Bhavani. ||37

Karo kripa Hey Matu dayala,
Riddhi-Siddhi de karahu nihala. ||38

Jab lagi jiyoon daya phal paoon,
Tumhro yash men sada sunaoon. ||39

Durga Chalisa jo gave,
Sab sukh bhog parampad pave. ||40

No comments:

Post a Comment